Bihar Sabji Kheti Yojana 2026: Tamatar, Mirch, Patta Gobhi Par ₹24,000 Subsidy
Bihar ke sabji kisanon ke liye badi khushkhabri! Bihar Udyan Vibhag ne Sabji Cluster Kheti Yojana 2026 shuru ki hai. Is yojana ke tahat Tamatar, Hari Mirch aur Patta Gobhi ki kheti karne par sarkar ₹24,000 prati hectare tak ki subsidy degi.
Ye yojana khaas taur par Lakhisarai, Barhiya jaise jilon se shuru ki gayi hai jahan pehle se hi sabji ki kheti jyada hoti hai.
Yojana ka Mukhya Uddeshya
Sarkar chahti hai ki kisan paramparagat dhan-gehu chhod kar sabji ki kheti ki taraf aayein, jisse unki aamdani double ho. Cluster based kheti se kharcha kam hota hai aur utpadan zyada.
Kitni Subsidy Milegi?
| Fasal | Lagat (Prati Hectare) | Subsidy (40%) | Aapko Milega |
| Tamatar | ₹60,000 | 40% | ₹24,000 |
| Mirch | ₹60,000 | 40% | ₹24,000 |
| Patta Gobhi | ₹60,000 | 40% | ₹24,000 |
Kul 100 Hectare me is yojana ko lagu karne ka lakshya rakha gaya hai.
Kaun Le Sakta Hai Labh?
- Kisan Bihar ka nivasi ho.
- Kisan ke paas sabji kheti yogya jameen ho.
- Kisan samuh (Cluster) me kheti karne ke liye taiyar ho. 5-10 kisan mil kar ek cluster bana sakte hain.
- DBT portal par panjiyan hona chahiye.
Jaruri Kagaj
- Aadhaar Card
- Jamin ka Rasid
- Bank Passbook
- Mobile Number
Aavedan Kaise Kare?
- Apne jile ke Udyan Vibhag / Krishi Vigyan Kendra me sampark karein.
- Ya Bihar Horticulture ki official website horticulture.bihar.gov.in par jayein.
- Wahan Sabji Vikas Yojana ke form par click karein.
- Form bhar ke apne Udyan Padadhikari ke paas jama karein.
Chayan ke baad kisan ko beej, khaad aur dawai kharidne ke liye anudan seedhe bank khate me diya jayega.
Antim Tithi: Jaldi karein, 100 hectare ka lakshya pura hote hi aavedan band ho jayega.

